meri maano
abhi tum ishq mat karna
abhi gurrya se khelo tum
tumhaari umr hi kya hai
faqat athra baras ki ho
abhi masoom bachi ho
nahin maaloom abhi tum
nahin maaloom abhi tum
kok jab ye ishq hota hai
to insaan kitna rota hai
sitaaray toot jatay hain
saharay chhoot jatay hain
abhi tum ne nahin dekha k jab saathi bichhartay hain
to kitna dard hota haik har forqat k mosam main
hazaro gham ubhartay hain
hazaro zakhm khultay hain
suno larki...
meri maano
parhaayi par tawajo do
kitaabon main gulaaon ko
kabhi bhoolay se mat rakhna
kitaabain jab bhi kholo giye kaanton ki tarah dil main
chubhengay, khoon bahayengay
tumhain pehron satayengay
kisi ko khat nahin likhna
likhayi pakrri jaati hai
barri ruswayi hoti hoti hai
kisi ko phone mat karna
sadayain dil dukhati hain
wo awazain satati hain
meri nazmain nahin parhnaye mehshar ko utha degi
tumhain pagal bana degi
suno larki...
meri maano
abhi gurya se khelo tum
abhi tum ishq mat karna