Koi badnaseeb aisa bhi hota hai jise pyar karne ki hi sazaa milti hai
Usi se jisko bepanah chahe woh
Pyar sirf ek lafz nahin
Woh ehsaas hai jo mar kar bhi
Nahin jaata
Pyar rooh ki gehrai tak chala jaata hai
Pyar hi hai jo jism ke khatam hone par bhi zinda rehta hai
Kiya kya kasoor jo zindagi dekar bhi chain na mila
Dushamani ki sazaa mile to samajh aaye
Kissi ko itna chaho aur mile sazza , dil ko kon samjhaye
Sukhe paatton si main..har pal char char kuchal jaye mujhe
Dil ki tadap tere pyar ke liye khaakh banaye mujhe
Bahein felakar fir pukara hai tujhe
Kya meri awaaz ka ehsaas hai tujhe
Mere paas nahin hai tu
Par kyon har pal paas paya tujhe
Mar chuki main par dard nahin jaata
Saaya bhi mujhse juda hai
Par tera pyar juda nahin ho paata
Har lamha teri bahon mai aane ko tarasti hoon
Ek pal teri chahon main jeene ko tarasti hoon
Tere bina mera aaj har lamha tham gaya
Thand ka yeh sirhana aansoon main jam gaya
Dhuan ban gayi main teri chahat main
Meri chahton se nafrat kyon tu kar gaya
Sundarta Jism ki poojta hai ye insaan
Khuda to dil main basa hai
Ye woh kaise bhool gaya
Raakh meri udati hogi tere ghar ke saamne
Tujhe bhi toh kabhi lagta hoga koi choo kar gaya
Andheri hai ye duniya bahut
Pyar ka deep jala do
Tadapti hoon tujhse milne ko ab bhi
Kahin se ab toh mujhe awaaz do
Chita jal chuki meri raakh ho gayi main
Par rooh ab tak jalti hai tere intezaar main…..
No comments:
Post a Comment