Jun 19, 2010
Mar 22, 2010

Milke tujh se ay jindagi
Kisi aur ki phir chahat na hui
Din guzrte huye saal-o-saal huye
Manjil hai ek aur hum sath chal pade
Tumne jab se hai thama haath mera
To kisi aur ke sath ki chahat na hui
Mehfilo me bhi tanhaaiyo me bhi
Har pal bas yaad aate rahe tum
Dard bhari purwai me bhi sath the tum
Jab se tumne hai apna samjha hume
To kisi aur ki ban jaane ki chahat na hui
Dil ne thi mangi bas ek duwa
Ye jindagi tu de mujhe ek katra pyar ka
Tumne de diya hume sagar pyar ka
Yu Pake pyar tera kisi aur ke pyar ki chaht na hui
Yu bhardi hai meri jindagi tune khushiyo se
Har gum bhi ab to yu muskuraane lage hai
Rehta hai ye dil ab to teri panahoo me
Kabhi karta tha ye dil khuda ki bandagi
Mana hai jab se tujhe khuda to ab khuda ki chahat na hui

इतना डरते हैं तो फिर घर से निकलते क्यों हैं
मैं न जुगनू हूँ, न दिया हूँ, न कोई तारा हूँ
रोशनी वाले मेरे नाम से जलते क्यों हैं
नींद से मेरा तालुक़ ही नहीं बरसों से
ख्वाब आ आ के मेरी छत पे टहलते क्यों हैं
मोड़ होता है जवानी का संभलने के लिए
और सब लोग यहीं आके फिसलते क्यों हैं
Subscribe to:
Posts (Atom)