Oct 31, 2009

"suno larki...
meri maano
abhi tum ishq mat karna
abhi gurrya se khelo tum
tumhaari umr hi kya hai
faqat athra baras ki ho
abhi masoom bachi ho
nahin maaloom abhi tum
kok jab ye ishq hota hai
to insaan kitna rota hai
sitaaray toot jatay hain
saharay chhoot jatay hain
abhi tum ne nahin dekha k jab saathi bichhartay hain
to kitna dard hota haik har forqat k mosam main
hazaro gham ubhartay hain
hazaro zakhm khultay hain
suno larki...
meri maano
parhaayi par tawajo do
kitaabon main gulaaon ko
kabhi bhoolay se mat rakhna
kitaabain jab bhi kholo giye kaanton ki tarah dil main
chubhengay, khoon bahayengay
tumhain pehron satayengay
kisi ko khat nahin likhna
likhayi pakrri jaati hai
barri ruswayi hoti hoti hai
kisi ko phone mat karna
sadayain dil dukhati hain
wo awazain satati hain
meri nazmain nahin parhnaye mehshar ko utha degi
tumhain pagal bana degi
suno larki...
meri maano
abhi gurya se khelo tum
abhi tum ishq mat karna


Janay kyun...

Dil kisi ajnabi pr aitabar karne lagta hai,

Jane kuin...Kisi ka hamari zindagi mei ana bahar lagta hai,

Jane kuin...Us se milne k baad hr koi ajnabi sa lagta hai,

Jane kuin...Chaudwi ka chand mei ankhay us ko dhondhne lagi hein,,

Jane kuin...Us k bagair hr mausum kizah sa lagta hai,,

Jane kuin...Humari socho me usi ka khayal laga rehta hai,,

Jane kyun...Us ki sanson me samane ko ji chata hai,,

Janay Kyun...??
मौत के बाद याद आ रहा है कोई,
मिट्ठी मेरी कबर से उठा रहा है कोई,
या खुदा दो पल की मोहल्लत और दे दे,
उदास मेरी कबर से जा रहा है कोई.
याद करते है तुम्हे तनहाई में,
दिल डूबा है गमो की गहराई में,
हमें मत धुन्ड़ना दुनिया की भीड़ में,
हम मिलेंगे में तुम्हे तुम्हारी परछाई में.
दिलको हमसे चुराया आपने ,
दूर होकर भी अपना बनाया आपने,
कभी भूल नहीं पायेंगे हम आपको,
क्योंकि याद रखना भी तो सिखाया आपने.
हर सागर के दो किनारे होते है,
कुछ लोग जान से भी प्यारे होते है,
ये ज़रूरी नहीं हर कोई पास हो,
क्योंकी जिंदगी में यादों के भी सहारे होते है !
Kabhii aah lab pe machal gaii
Kabhii ashk aankh se dhal gaye
Vo tumhaare gham ke chiraagh hain
Kabhii bujh gaye kabhii jal gaye
Main khayaal-o-khvaab kii mahfilein
Na baqadr-e-shauq sajaa saka
Tumhaarii ik nazar ke saath hii
Mere sab iraade badal gaye
Kabhii rang mein kabhii ruup mein
Kabhii chaanv mein kabhii dhuup mein
Kahiin aaftaab-e-nazar hain vo
Kahiin maahtaab men dhal gaye
Jo fanaa huye gham-e-ishq mein
Unhein zindagii kaa na gham huaa
Jo na apnii aag mein jal sakeVo
paraaii aag mein jal gaye
Yaa unhen bhii merii tarah junuun
To phir un mein mujh mein ye farq kyaa
Main giraft-e-gham se na bach sakaa
Vo huduud-e-gham se nikal gaye

Dukh Kia Hota Hy

Tum ne poocha k

Dukh kia hota hai

To suno

Aisa kern

Kabhee kisi ko chahna

Or chahtey hee rehna

Din bhar us ko sochtey hee rehna

Jagtee ankhoon se us k sapney

Dekhtey hee rehna

Apney haathon ki lakeeron mein us ka

Naam tarashtey hee rehna

Or jab kabhee woh

In riazaton ka hisaab mangney ko

Saamney aaye to

Tum ana ka haath thaam lena

Agar woh kuch kahay to

Muskura ker anjan ban jana

Or jab woh mayoos ho ker laut jaye to

Apney ander jhaankna

Or khud se poochna

Tub tumhara dil

Tumhein bata day ga k

आइना वही रहता हैं
चेहरे बदल जाते हैं
आँखों में रुकते नहीं
जो आंसू निकल जाते हैं
आइना वोही रहता है
चेहरे बदल जा...

Oct 19, 2009

बस खुद से अनजानी सी हूँ

बस खुद से अनजानी सी हूँ
सपनो की दुनिया में खोई सी हूँ
खुद को कैसे खोजूं कोई रास्ता भी नज़र नहीं आता
बस इक ऐसी खोज में खोई हुई -की
सब रिस्तो को खो दिया हैं
बस इस अनजाने तन में तनहा सी हूँ
पर क्या करू बस खुद को खोज रही हूँ
और अपने आप को खोज रही हूँ
बस इक अनजानी को जानने वाली बनाना चाहती हूँ~
बस खुद से अनजानी सी हूँ

Feb 12, 2009

Baad mere...


Shaam-e-gham tanhai ke siva kyaa degi
Umeed ka aakhri diyaa bhi bhuja degi.......

Chehra chhupane se haqikat nahi chhipti
Khamosh zubaan bhi kai raaz bata degi.......

Tu khud hii nikal ja dil se mere sanam
Mere seene ki jalan sab kuch jala degi.....

Gar hai gunah jooth nazar mein khuda ki
Bolega tu sach to tujhe duniya saza degi.....

Janoon hai saara tujhe mitane ka uspe
naam likha tera hawa bhi ab mita degi.....

Aati nahi raas ishq ke maaron ko zindagi
Hamko sakoon degi to bus kaza degi.....

Mil jayega sakoon us din meri rouh ko
Aansoon koii jis roz mohabbat mere liye gira degi.......

Rakhta hai kon yaad guzre waqt ko
baad mere ye duniya mujhe bhi bhula degi......


Dhuaan ban gayi main!



Koi badnaseeb aisa bhi hota hai jise pyar karne ki hi sazaa milti hai
Usi se jisko bepanah chahe woh

Pyar sirf ek lafz nahin
Woh ehsaas hai jo mar kar bhi
Nahin jaata
Pyar rooh ki gehrai tak chala jaata hai
Pyar hi hai jo jism ke khatam hone par bhi zinda rehta hai

Kiya kya kasoor jo zindagi dekar bhi chain na mila
Dushamani ki sazaa mile to samajh aaye
Kissi ko itna chaho aur mile sazza , dil ko kon samjhaye

Sukhe paatton si main..har pal char char kuchal jaye mujhe
Dil ki tadap tere pyar ke liye khaakh banaye mujhe
Bahein felakar fir pukara hai tujhe
Kya meri awaaz ka ehsaas hai tujhe
Mere paas nahin hai tu
Par kyon har pal paas paya tujhe

Mar chuki main par dard nahin jaata
Saaya bhi mujhse juda hai
Par tera pyar juda nahin ho paata
Har lamha teri bahon mai aane ko tarasti hoon
Ek pal teri chahon main jeene ko tarasti hoon

Tere bina mera aaj har lamha tham gaya
Thand ka yeh sirhana aansoon main jam gaya
Dhuan ban gayi main teri chahat main
Meri chahton se nafrat kyon tu kar gaya
Sundarta Jism ki poojta hai ye insaan
Khuda to dil main basa hai
Ye woh kaise bhool gaya


Raakh meri udati hogi tere ghar ke saamne
Tujhe bhi toh kabhi lagta hoga koi choo kar gaya
Andheri hai ye duniya bahut
Pyar ka deep jala do
Tadapti hoon tujhse milne ko ab bhi
Kahin se ab toh mujhe awaaz do


Chita jal chuki meri raakh ho gayi main
Par rooh ab tak jalti hai tere intezaar main…..