Oct 31, 2009

Kabhii aah lab pe machal gaii
Kabhii ashk aankh se dhal gaye
Vo tumhaare gham ke chiraagh hain
Kabhii bujh gaye kabhii jal gaye
Main khayaal-o-khvaab kii mahfilein
Na baqadr-e-shauq sajaa saka
Tumhaarii ik nazar ke saath hii
Mere sab iraade badal gaye
Kabhii rang mein kabhii ruup mein
Kabhii chaanv mein kabhii dhuup mein
Kahiin aaftaab-e-nazar hain vo
Kahiin maahtaab men dhal gaye
Jo fanaa huye gham-e-ishq mein
Unhein zindagii kaa na gham huaa
Jo na apnii aag mein jal sakeVo
paraaii aag mein jal gaye
Yaa unhen bhii merii tarah junuun
To phir un mein mujh mein ye farq kyaa
Main giraft-e-gham se na bach sakaa
Vo huduud-e-gham se nikal gaye

No comments:

Post a Comment